Ayushmann Khurana is indeed one of the best multi-talented Indian Bollywood actor. He is an Indian actor, singer, and television host born on 14 September 1984 in Chandigarh. A Roadie who is a VJ, RJ, Singer, Music composer, and a refined actor. First, he appeared on MTV Roadies second season in the year 2004 and won the title of Roadies second season.
Ayushmann Khurana made his mark in Bollywood and given 7 hit movies in a consecutive row with all his hard work and talent. Ayushmann Khurana movies is loved by everyone. He has given numerous hits movies like Vicky Donor, Bala, Bareily ki Barfi, Shubh Mangal Saavdhan, Andhadhun, Badhaai Ho, Article 15, Dream Girl, Bala and more.
Ayushmann Khurana love shayari, Quotes, Thoughts can amaze you. Shayari by ayushmann khurrana sounds real and heart touching published on his social media channel Twitter and Instagram. From writing about life, love, and adulting every bit of ayushman khurana poetry, songs and shayari is just super appealing. Whenever you hear the song ‘Pani Da Rang’, and all-round face will appear in front of you. A Cute little boy sitting on the roof of a house in Delhi, holding a guitar. Yes, Ayushmann Khurana. So, let read some of the heart touching Ayushmann Khurana Shayari and two liners.
Look at some lines and quotes written by ayushmann khurana in hindi and feel the logic and feeling behind his words:
Table of Contents
Ayushmann Khurrana Shayari
“Tum is sheher ki rivaayat se anjaan ho dost.
Yahaan yaad rehne ke liye yaad dilaana padta hai.”
— Ayushmann Khurrana
“Zamaane mein tanhaaiyon ka aalam toh dekhiye,
Hum khud ko taakte hain, le le ke selfiyaan.”
— Ayushmann Khurrana
“Yeh kaunsa andaaz mohabbat sikha gayi usko..
Woh rooth kar bhi mujhse muskura kar milta hai.”
— Ayushmann Khurrana
“Pehle dost baney,
Dost se jaan baney,
Jaan se anjaan baney,
Aur bas zindagi aagey badh gayi.”
— Ayushmann Khurrana
“Bachpan mein papa ki lagayi bandishon ko todne mein bahut mazaa aata tha,
Ab badey ho kar khud par lagayi bandishein todi nahi jaati.”
— Ayushmann Khurrana
“Kya hai sukoon?
– Ghar ke aangan ki mitti mein pehli baarish ki boond.”
— Ayushmann Khurrana
आयुष्मान खुराना की शायरी in Hindi
“ज़िंदगी ने बहुत समझदार बना रखा है,
मुझे आज बस ज़िद करने का मन है।”
— आयुष्मान
“बिना सोचे लिख देता हूँ मैं.
मुफ़्त तारीफ़ पा लेता हूँ मैं.
ज़्यादा सोच कर गर लिखूँ
तो गणित के सवाल सा दिखूँ.”
— आयुष्मान
“बात बात पे मुस्कुराता है यह आदमी..
किसी छोटे शहर से आया हुआ लगता है।”
— आयुष्मान खुराना
“कितना आसान था बचपन में सुलाना हम को…
नींद आ जाती थी परियों की कहानी सुन कर..”
— आयुष्मान खुराना
“बचपन में पापा की लगायी बंदिशो को तोड़ने में बहुत मज़ा आता था,
अब बड़े होकर ख़ुद पर लगायी बंदिशें तोड़ी नहीं जाती.”
— आयुष्मान खुराना
“अजीब लुत्फ़ था नादानियों के आलम में,
समझ में आई तो बातों का वो मज़ा भी गया.”
— आयुष्मान खुराना
“रात भर चलती रहती है उँगलियाँ मोबाइल पर,
किताब सीने पर रख कर सोये हुये एक ज़माना हो गया।”
— आयुष्मान खुराना
“जिस सादग़ी ने मुझे कहीं का नहीं रखा ,
वो आज कह रही है कुछ तो गुनाह कर.”
— आयुष्मान खुराना
“कुछ नही मिलता
दुनिया में मेहनत के बगैर,
मेरा अपना साया
मुझे धुप में आने के बाद मिला.”
— आयुष्मान खुराना
“कपड़े सफ़ेद धो के जो पहने तो क्या हुआ,
धोना वही जो दिल की सियाही को धोइए.”
— आयुष्मान खुराना
“मंज़िलें पाँव पकड़ती हैं ठहरने के लिए,
शौक़ कहता है कि दो चार क़दम और सही।”
— आयुष्मान खुराना
Ayushmann Khurrana Poetry Video:
Humko toh sirf ghar pe rehna hai – Ayushmann Khurrana
Woh saamne waali building kuch din pehle seal ho gayi.
Aur tab se aas pados ke logon ki zindagi thodi tabdeel ho gayi.
Ussi building ke neeche waali dukaan se toh ghar ka samaan aata tha.
Woh bimaari ke baare mein pehle bata deta toh kya jaata tha.
Aaj hum dare hue hain.
Jeevit hain par mare hue hain.
Aaj lagta hai kaash kar dein sab kuch theek is duniya ko karke rewind.
But believe me this is nothing but the collective karma of mankind.
Salaam hai usko jo sadkein saaf karta hai, kachra le kar jaata hai, ghar ka saamaan le kar aata hai. Aur phir apne ghar jaata hai.
Par humne unko kabhi izzat dee hee nahi. Hum paise waale hain. Humare baap ka kya jaata hai.Aur woh bechaara darta hai ki coronavirus uske parivaar ko na ho jaaye.
Woh apne chote bachche ko choo nahi paata hai.
Yeh ameer gareeb ka insaaniyat se pare ka naata hai.
Is desh ko gareeb hee chalata tha. Gareeb hee chalayega.
Humein is samay bhi sab suvidhaaen gareeb hee dilaayega.Ab jab sab theek ho jaayega toh in logon ko izzat dena.
Koi kaam chota nahi hota yeh baat apne palle baandh lena.
Aaj doctor nurses, police, humaare security gaurd hain sabse zyaada kaam ke
Hum sab Bollywood hero hain bas naam ke
Hum bas paise de sakte hain. Hathiyaar de sakte hain.
Ladhna unko hai. Unhi ko sab kuch sehna hai.
Humko toh sirf ghar pe rehna hai.
Humko toh sirf ghar pe rehna hai.
– Ayushmann Khurrana Shyari
Also Read: